Hello My Dear Friends,
-Aaj baat karte hain aise kanooni adhikar ke bare mein jo sabhi vyaktiyon ko pata hona chahiye...to aaiye Shru karte hain.
-Driving ke time agar kisi person ke 100 ml blood mein Alcohol ka level 30 mg se jyada paya jata hai to police use bina warrant ke arrest kar sakti hai.- Motor Vehicle Act 1988 Section 185, 202
- Kisi bhi mahila ko shaam 6 baje ke baad aur subah 6 baje ke pahle arrest nahi kiya ja sakta hai.- Section 6 of Cr.Pc
-Police FIR likhne se mana nahi kar sakti hai anyatha use 6 mahine se 1 saal tak ki jail ho sakti hai. - Section 166A of IPC.
- Live in relationship illegal nahi hai aur agar es beech koi baccha janm leta hai to uska uske pita ke property mein right ho jata hai. Domestic Violance Act 2005.
-Ek Police officer hamesha duty par hota hai, chahe vah uniform mein ho ya na ho. -Police Act 1861.
-Koi bhi company kisi bhi pregnant mahila ko nahi nikal sakti anyatha use 3 saal ki saja ho sakti hai.- Maternity Benefits Act, 1961
Thank you!
No comments:
Post a Comment