Jamanat ke Adhikar
Maan lijiye yadi koi
vyakti arrest kar liya jata hai to sabse pahle us vyakti ko jamanat par bahar
lana bahut jaruri ho jata hai, to aaiye baat karte hain ki kin-kin maamlo mein
jamanat milegi aur kin maamlo mein jamanat nahi milegi. Eske liye Cr.Pc ke Section 436 se Section 450 mein bataya
gaya hai.
To sabse
pahle hume yah jaanna hoga ki bailable aur non-bailable offence mein kya difference
hai, Eske liye apko Cr.Pc ka Section 2(a) dekhna padega.
Section
2(a) of Cr.Pc. –
“bailable offence” means an offence which is shown as bailable in the First
Schedule, or which is made bailable by any other law for the time being in
force and “non-bailable offence” means any other offence.
-Ab chaliye aage baat karte hain ki
yadi ‘bailable’ apradh ka koi bhi vyakti police dwara arrest kar liya jata hai
to yadi vah vyakti apni jamanat dene ko taiyar hai to aise vyakti ko jamanat
par chhod diya jata hai lekin ek baat yah bhi aati hai ki yadi koi vyakti
arrest kar liya jata hai aur apni jamanat nahi karwa pata hai to court use khud
ke muchalke par chhod dega lekin jamanat jabt mein yah procedure nahi follow
hota.
Ab yahan question
raise hota hai ki jamanti person ko kab tak jail mein rakha ja sakta hai…koi bhi apradhi agar jail mein band hai to jis apradh mein use jail
bheja gaya hai to us apradh ki adhiktam saja ki awadhi ki aadhe se adhik saja
kaat lene ke baad court aise apradhi ko jamanat par chhod sakta hai lekin
opposite person es tarah se chhodne ka virodh kar sakta hai.
Note-
Kisi bhi vyakti ko saja ki Awadhi se jyada dino tak jail mein nahi rakha ja
sakta.
-Ab maan
lijiye ki koi person gair jamanti apradh karta hai aur court mein laya jata hai
ya khudi court mein hajir ho jata hai to magistrate aise apradhi ko jamanat par
chhod sakta hai lekin kuch aise bhi conditions hain jaise yadi apradhi ne aisa koi
crime kar diya to uske liye punishment death sentence aur life imprisonment nahi
hona chahiye ya pahle se kisi apradh mein use dos siddh bhi nahi hona chahiye
aur apradhi mahila ya bimar hona chahiye, tabhi usko chhoda ja sakta hai.
Section
437 of Cr.Pc – Maan lijiye kisi individual ko district court jamanat nahi deta
to session court ya High Court mein arji pesh ki ja sakti hai aur session court
ya High Court aise person ko jamanat par chhod sakta hai.
Note-
Jamanat ke baad unse es baat ki arji li ja sakti hai ki yadi kabhi bhi unki
jarurat court mein padti hai to unhe court mein aana padega aur aisi jamanat 6
month tak valid hogi.
Ab aage
baat karte hain Agrim Jamanat ya Anticipatory Bail Under Cr.Pc 1973-
Eske
bare mein Section 438 mein bataya gaya
hai ki yadi kisi vyakti ko yah lage ki use gair-jamanti apradh mein giraftar
kiya ja sakta hai tab aise vyakti Session Court ya High Court mein jamanat par
chhutne ke liye ek application dega jiske baad court aise vykti ko agrim
jamanat ka aadesh de sakta hai.
Note-
Yahan dhyan dene ki baat hai ki agrim jamanat bhool, kapat ya kuch anya karno
se jamanat de di gayi hai to court use vapas le sakta hai esse vyakti ko
giraftar kar liya jayega.
No comments:
Post a Comment