03/11/2017

Jhoothi FIR se kaise bache | legalandgeneralknowledge.blogspot.com | Ayush Jaiswal |

-Aksar hum log dekhte hain ki samaaj mein kuch aise log bhi hote hain jo Law ka misuse kar dalte hain, ve kabhi-kabhi saamne wale person ko pareshan aur uska sammaan ghatane ke liye jhoothi FIR kar dete hain jisse saamne wala person pareshan ho jata hai aur yahan tak ki use jail tak jana pad jata hai.

To aaj baat karte hain ki yadi koi aap par Jhoothi FIR kar diya hai to kya karke bacha ja sakta hai..

To aaiye shru karte hain...

- Cr.Pc ke section 482 ke under jhoothi FIR ko High Court mein challenge kiya ja sakta hai.
Eske liye apko High Court mein apne Vakil ke madhyam se application deni padegi aur sath hi sath application ke sath apko apne bachav mein document bhi lagane honge.

-Aisa karke aap apne against matter ko rukwa sakte hain.

-Eske antargat yani ki jab Section-482 of Cr.Pc ke antargat mamla chalta rahega police aapke against koi action nahi le sakti aur aapko arrest bhi nahi kar sakti hai.

-Agar maan lijiye ki aapke against warrant jari ho gaya hai to jari warrant ruk jayega, jab tak High Court ka order na aa jaye.

Thank You!












No comments:

Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life

https://amzn.to/3zRbxXu

Type..