03/11/2017

Everyone is Unique | www.youtube.com/AyushJaiswal12 | Ayush Jaiswal |


Hello Dear Friends,

Aaj baat karte hain aise logo ki jo apne aapko kuch nahi samjhte, kahne ka matlab hai ki ve apne aapko Zero samjhte hai..eske pichhe ka karan hai; dusre logo se apne aapko compare karna.

Sabse pahle main yah bata doon ki es dhara par rahne wala har vyakti Unique hai kyonki uske andar athaah shakti viddyaman hai, bus vah use jaan nahi pata ya jaane ki kosis nahi karta hai. Vah sadaiv apne aap ko dusre se compare karta hai aur niras baith jata hai.

Dekhi-dekha dusro ke raste par chalne ki kosis karta hai aur jab nahi chal pata hai to rota hai, use yah nahi maloom ki uska rasta alag tha..vo kisi aur raste ke liye bana hai, agar yah baat use samjh aa jaye to vah sadaiv khus rahega.

Sabse pahli baat hum sabhi ko gaanth baandh leni hai ki koi bhi kaam dekha-dekhi nahi karenge kyonki ese kewal nirasa milegi.

For example aapko padhai mein kuch aur pasand tha aur apne dosto se apne aapko compare karke agar usi ke stream mein admission le liya to kya hoga, kewal nirasa hath lagegi kyonki aap kisi aur cheej ke liye bane the.

-To en sabhi cheejo se bachne ke liye apko bus itna karna hai ki apne aapko dusro se compare karna chhodna padega kyonki yadi kisi ko gaana gaane aata hai to dusre ko dance acche se aata hoga and vica-versa.

- Aap akele sab kuch nahi kar sakte esliye jaise ek motor-cycle mein har parts ka alag-alag use hai theek vaise aapka uday kisi aur cheej ke liye aur dusre ka uday kisi aur cheej ke liya hua hai, baki aap samjh rahe honge.

-Jis din aap apne aapko compare karne se bachne lagenge usi din se aap bahut khus rahne lagenge.

-Koi agar apne field mein accha kaam kar raha hai to uski tareeph kariye kyonki esse baad mein aapko bhi tareeph milegi aapke kaam ke liye.

-Aksar yah hota hai ki log yah soch karke apna man-pasand kaam nahi karte ki log kya kahenge to bhai aapko bata doon ki aise chaar log aapko hamesha aur har jagah milenge, yadi aap fail ho jate hain kaam mein tab bhi ve burai karenge aur saphal ho jate hain to bhi kamiyan nikalenge..esliye aise logo ke bare mein tanik na soche aur lag jayein apne talent ko bahar laane mein.



Dhanayaad!





Kabhi bhi apne aapko kisi dusre se compare na karein kyonki aapki kshmta kewal aap jante hain aur sabhi individuals mein koi na koi uniqueness jarur hoti hai.- Ayush Jaiswal

No comments:

Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life

https://amzn.to/3zRbxXu

Type..