25/10/2018

General Knowledge



1)- Hamare Shareer mein acid tatha base ke beech jo tatva santulan banaye rakhta hai vah cheej phosphorus hai.

2)-Jab Vrikk work karna band kar deta hai to blood mein natrajanit waste thing jama hone lagta hai.

3)-Urea gurda dwara blood se alag hota hai.

4)-Human mein blood ko clean karne ke process ko dialysis kahte hai.

5)-Plajma mein 90% jal hota hai.

6)- Human blood pressure ratio = 120/80.

7)-Kenchue (earthworm) ke jeevdravya mein hemoglobin ka Vilay hota hai.

8)-Shareer mein hemoglobin ka kaam oxygen ka parivahan karna hota hai.

9)-D.N.A mein uplabdh tairosin yogig amino acid nahi banata.

10)-Tomato ke red color hone ka karan likopeen hai.

11)-Adhikaansh keet swashan Vatak tantra se karte hain.

12)-Archaebacteria ke ek samooh ko Methane ke utpadan ke liye prayog kiya jata hai.

13)-Hidrofaiets ek jaliye paudho ko kahte hain.

14)-Apifaiets ve paudhe hain jo anya paudho par yantrik aulamb ke liye depend hote hain.

15)-Kunain jo maleria ke liye ek pramukh ausadhi hai,vah aavritbeeji padap se prapt hoti hai.

16)-Chattan par ugne wale padap kahlaatein hain – Shailodbhid.

17)-Jugnoo ek prakaar ka keet hota hai.

18)-Tick aur mike vastav mein makdi vanshi hain.

19)-Bat (Chamgadar) udne wala astanpayi jeev hai.

20)-Sabse bada astanpayi whale fish hai.

21)-Lamark ne jeev Vigyan (Biology) ko sarvpratham samjhaya.

22)-Hidroponik Mrida Viheen padap sanvardhan hai.

23)-Snakes ke vishay mein jankaari prapt karna carpology kahlata hai.

24)-Calcium sulphate rasayan Kshariye bhoomi sudharak ke roop mein karya karta hai.

25)-Ek Car battery mein prayukt viddhut apghatya salphuric acid hota hai.

26)-Vanaspati oil soap banane ke use mein aata hai.

27)-Gobar Gas mein mukhya tatva Methane hota hai.

28)-Biogas mein mukhyata Carbon-dioxide eyom Methane hota hai.

29)-“Bullet Proof” jacket mein kevlar polymer ka use kiya jata hai.

30)-Prakrtik rubber ka bahulak Isoprene hai.

31)-Plastic se polyethylene gas nikalti hai.

32)-Mustard gas ka use rasayanik yudh mein kiya jata hai.

33)-Photography mein asthayikaran ke liye ‘Sodium Thiosulphate’ ka use kiya jata hai.

34)-Washing soda ka rasayanik sootra Na2Co3 hai.

35)-Jal mein asaani se ammonia ghul jata hai.

35)-Bharat mein “thorium’ prachoor matra mein uplabdh hai.

36)-Silver sabse jyada Viddhut chalakta wala tatva hai.

37)-Manusyon ke liye manak dhwani astar 60db hota hai.

38)-“Paradhwani jet” ki udan ke karan ojon layer mein badha hoti hai.

39)-Dhwani ka veg dhatu mein sabse jyada hoti hai.

40)-Desert cooler dwara sheetlan Vaspan sheetlan par adharit hoti hai.

41)-Refrigerator mein tharmostate ka karya ek samaan taapmaan ko banaye rakhna hota hai.

42)-Thermostat ‘taapkram’ se sambandhit hai.

43)-Barf ke pighalne par aaytan (Volume) ghatta hai.

44)-Prasaari Vishwa ki sankalpna Doppler prabhaav par adharit hai.

45)-Automobiles ke liye hydraulic break ke kaam karne ka siddhaant “pascal Ke niyam” par adharit hai



46)-Batti wale stove mein kerosine mein batti ke upar chaddne ka karan ‘surface tension” hota hai.

47)-Washing Machine apkendran ke karya siddhant par karya karta hai.

48)-Pyrometre ucch taap maapne mein use kiya jata hai.

49)-Sonar Nau sanchaalko dwara prayog mein laya jata hai.

50)-Mahasagar mein doobe hue vastuon ki sthiti janne ke liye Sonar ka use kiya jata hai.



No comments:

Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life

https://amzn.to/3zRbxXu

Type..