14/04/2017

My Diary Part 1 || Meri Maa ||



Ankhein bhar si jati hai..Jab-2 Maa ki yaad achanak aa jati hai.

Ghar se door aur apno se door rahne ka dard janta hoon...Baccha hoon Maa se door rahne ka bhi dard janta hoon.


  • Aihsas ho jata hai rato ko Maa se door hone ka aur us dard ka asar janta hoon.
  • Uski edi Parvat Choti lagti hai Maa ke paon se jannat bhi chhoti lagti hai.

Main abodh balak jo kabhi Maa se door na hua tha..Mujhe kya pata tha ki ek din jindgi ke bhagdaud maa se dooriyan bana dalengi...Kar bhi kuch nahi sakte kyonki sabkuch apne hatho mein hota kahan hai..Bus intezar hai us samay ka jab anchal mein chhup jaunga.

  • Upar Jiska ant nahi use aasma kahte hain aur jahan mein jiska ant nahi use maa kahte hain..
  • Yun to main ghabrata nahi par teri parvaah karta hoon main Maa..
  • Muskura deta hoon aur yaad aa jati hai Maa..
  • Labo pe uske kabhi baddua nahi hoti ek Maa hai jo kabhi khafa nahi hoti..
  • Ai Jindgi tune to rula ke rakh diya ja meri Maa se puchh kitna ladla tha main.
  • Maa roopi bank mein hum apne har dukh aur aihsas ko jama kar sakte hain..






No comments:

Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life

https://amzn.to/3zRbxXu

Type..