18/01/2017

Kaise sudhrega apna desh Hindustan



•Kabhi-kabhi party aise candidates ko maidan mein utarti hai ki loktantra ka majak banke rah gaya hai esliye aise candidates par rok lagni chahiye.

•Candidates jo aate hain ve samaaj se hi aate hain esliye unhe samaaj ki har unit par dhyan dena chahiye.

•Education par vishesh dhyan hona chahiye kyonki education milne ke baad log apne hit aur samaaj hit ke bare mein sochne lagte hain.

•Jo leaders chune jate hain unhe kisi ek dharm-jati ko na dekh kar poore samaaj ko dhyan mein rakh kar kaam karna chahiye.

•Leaders ko honestly kaam karna hoga.

•Shiksha ke bajarikaran par rok lagana chahiye.

•Paryatan asthal par dhyan dena chahiye.

•Pratibhao ko tarashna hoga.

•Logo ke andar skill develop karwana chahiye.

•Logo ko lust, smoking aur kai buraiyon se door rahna hoga.


•Leaders ko apni maryada mein rahkar kaam karna hoga.

•Ek dusre mein kami na nikalkar ek dusre ka sath dena hoga.

•Apne duties ko honestly karna chahiye.

•Jahan kahin bhi rahe ek dusre se milkar rahe.

•Apni kamiyon ko suvikar karna hoga.

•Jo hamari aadat hai kahin bhi kooda phenkne ki uspar lagam lagana hoga.

•Pahle desh phir kisi aur ke bare mein sochna hoga.

•Yadi hamare pass kisi cheej ki adhikta hai to use jaruratmand mein baatna chahiye.

•Yadi koi samaaj mein rahkar galat kar raha ho to uska oppose karna hoga.

•Acchi kitabo se dosti karni hogi.

•Bure ka sangat chhodna hoga.

•Hume ek hoke rahna hoga.

Jab hum upar likhi bato par dhyan denge tabhi apna desh sudhrega.
Jai Hind!

No comments:

Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life

https://amzn.to/3zRbxXu

Type..