11/04/2018

Kab hoti hai 'TAKLEEPH'

Takleeph ki baat karte hain ki takleeph kab hoti hai..


Takleeph tab hoti hai jab aap samne wale se expectations pal lete hain ki saamne wala mere liye ye karega, meri baat manega, aisa karega-vaisa karega but saamne wala jab aisa nahi karta to hume gussa aur chidchidapan automatically aa jata hai, jiska result hi 'PAIN' hota hai.


Parents baccho se expectations pal lete hain, bacche parents se, dost dusre dost se ki vo meri bate secret rakhega, husband wife se aur wife husband se expectations pal leti hain, girlfriend apne boyfriend se aur boyfriend apni girlfriend se, students teachers se aur teachers apne students se aur bahut se log expectations pal lete hain aur jab pali gayi expectations 'FAIL' ho jata hai to uska hi result 'takleeph' kahlata hai.


'' Jaisa sochke hum chalte hain vaisa kabhi nahi hota, kuch na kuch kami rah hi jati hai..aur hum insan hain esliye kahin na kahin galtiyan ho hi jati hain. ''


Mujhe pata hai ki aap soch rahe honge ki expectations itni asani se jane wali nahi hai aur na hi jayengi lekin haan expectations ko kam karke takleeph se bacha ja sakta hai.


Jaise agar bacche parents ke expectations se kam score karte hain to koi baat nahi phir se ho jayega soch lein to na baccho ko aur na hi parents ko takleeph hogi.


Girlfriend ya boyfriend koi baat nahi mante ya ek dusre ki baat hi nahi mante to 'koi baat nahi' agar soch le to takleeph kam ho jayegj. (Acchi bato ko maanna sahi rahega, ego kabhi bhi relationship mein na aane dein kyonki pyar mein ego ki koi jagah nahi hoti)


Friends ki baat karein to agar apka friend saccha hoga to aapke secret ko kabhi bhi reveal nahi karega aur agar kar bhi deta hai to don't worry pareshan hone ki jarurat nahi bus ab aap aage se sambhal jaiye.. Soch-Soch ke pareshan bilkul bhi na hoyiyega.


Husband wife ki baat karein to ye dono ek gadi ke do pahiye hain.. Jab ek mein kuch kami dikhe to shikayat karne ki bajaye sath dein.. Muskura ke samne wale ki galtiyon ko maaph kar dein.. Takleeph apne aap kam ho jayegi..


'' jeevan mein aage badhne ke liye aur takleephon se bacchne ke liye kuch cheeje nazarandaj aur kuch cheeje bardast kar hi lena chahiye''


Comment karke jarur bataiye ki aapko takleeph kab-kab hui..?
Share karna na bhoolein..




Facebook - Ayush


 Jai Hind-Jai Bharat!

No comments:

Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life

https://amzn.to/3zRbxXu

Type..