15/04/2018

Justice For Asifa



Us bacchi ke sath us jagah #rape hua jis jagah ko  #swarg kaha jata hai aur jise hum kashmir ke naam se jante hain. Akhirkar ye baat nahi samjh mein aa rahi hai ki ye jo rape jaisi ghatnayein hain unke pichhe ka main reason kya ho sakta hai, kya aapne espar kabhi vichar kiya hai?
Samaj ganda nahi hai apitu samaj mein vyapt kuch 1-5% log aise hain jo us sadi machhli se kam nahi hain jo akele pure talab ko ganda kar deti hai.
Inhe aap CANCER bhi bol sakte hain jinka koi ilaj nahi, ye lailaj hain aur inhe jad se ukhadne ke liye special treatment kar dena hoga anyatha jaise cancer pure shareer ko mitti mein mila deti hai vaise ye samaj ke cancer aisa hi karenge.
Aur kuch percent bure logo ke karan sabpar ungli uthana bhi galat hoga.
Aage ki baat kare to  log kamiyon par to bahut lamba-lamba bol dete hain par kya ve solution ki baat karte hain..?
Jaise kabhi hum phool(flower) ko dekhte hain to man prafullit ho jata hai lekin yadi unhi phoolo mein kisi ek aadh-phool par keede lag jate hain to dard hota hai.. Phir aage hum kya karte hain, sare phoolo ko bachane ke liye vo phool tod ke fek dete hain jispar keede yani ki burai lag chuki hoti hai esliye samaj mein bhi sabko buraiyon ki chapet mein aane se pahle hume keede lage logo ko yani ki bure logo ko tod phenkna hi hoga.
Ab main apne vichar bataon to in cheejo ko puri tarah khatm to nahi kar sakte hain lekin bahut jyada jarur kam kar sakte hain to aaiye dekhte hain kaise-
 Samaj ke every person ko education dekar.
 Samaj ke every person ko morality ka path padha kar.
 Social Sites se sabhi gandi cheejo ko hatakar.
 Aisi sari aadatein jo burai ki or le jati hain uski counseling karwake ki use kaise hataya jaye.
 Parents ko apne baccho ki har activities par dhyan dena padega.
 Freedom of speech par thode aur restrictions laga ke.
 Population ko kam karke.
 Police Patrolling ke jariye.
 Discipline ko follow karwake.
 Mandir-Masjid, Hostel, School, Madarsa, Hotel, Restaurant, Park etc. Ki har mahine survey aur checking karwakar.
 Leaders dwara aur chut-put neta logo ke dwara bhadkau bhasan ko ignore karke.
 Desh Bhakti aur Sanskriti ke bare mein prachar-prasar karke.
 Social media par hated post ko allow na karwake.
 Social media ko adhar se link karwake.
 News channel walo par restrictions impose karke ki ve aise news na dikhayein ki jisse logo ki bhavnayein aahat hon.. Aur bahut kuch.
Dhanyavaad!
Main apko dost Ayush Jaiswal..
Jai-hind, Jai-Bharat!

No comments:

Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life

https://amzn.to/3zRbxXu

Type..