12/04/2018

Disadvantages of Social Media


"Ati kisi bhi cheej ki buri hoti hai." 

To aaiye aaj baat karte hain social media ke dwara ho rahe nuksan ki to aaiye shru karte hain..

Agar jyada nahi kewal 10 saal pahle aap pichhe jate hain to payenge ki Social media ka bus naam sunne mein aa raha tha eske bare mein hum jyada kuch nahi jante the lekin aaj social media ne as- FACEBOOK, WHATSAPP, INSTAGRAM, TWITTER, YOUTUBE, BLOG ,LINKEDIN Etc. ne sabki life mein dastak de dali hai vo bhi bahut andar tak.


aaj agar eske bina life ki baat ki jaye to jawab aayega ki bina social media ke life boring ho jayegi yah baat sahi lag sakti hai par aisa bilkul bhi nahi hai kyonki pahle ki life aur aaj ki life ko compare kiya jaye to pahle ki life jyada sukoon dene wali lagegi lekin samay ke sath cheeje badal hi jati hain aur hum jante bhi hain ki "Change is the law of nature" lekin es baat ka hume dhyan bhi dena hoga ki aane wali cheeje humare life ko kharab na karne payein.


Jyada ghumayenge nahi seedhe apko eske dwara ho rahe nuksan ya social media ke disadvantages ki baat karte hain-


  • Privacy ka leak hona.
  • Frustration.
  • Ankho ka kamjor hona.
  • chidchidapan.
  • Socially inactive ho jana.
  • Show off mein padna.
  • Apne aapko compare karke pareshan hona.
  • Kahne ke 5k friends par kisi se apnapan shayad mil jaye.
  • Bad handwriting hona.
  • Cheating.
  • Misrepresentation.
  • Fraud
  • Affairs.
  • Burai ki jad.
  • Jo pass mein rahte hain unse na baat karke virtual logo mein busy rahna.
  • Couples ko cheat karna.
  • Family aur baccho par kam dhyan dena.
  • Dispute between Husband and Wife.
  • Selfie ke chakkar mein pal ko na jee pana.
  • Parents ko time na de pana.
  • Jhoot bolna.
  • Padhai mein kamjor hona.
  • Books se door hona.
  • Likes ke chakkar mein time waste karna.
  • Unralevent bato par comment bazi karna.
  • Bhadkau post se unity ko todne ka kaam karna. 
  • Fake id banake dusre ko pareshan karna.


Aur bhi cheeje hain jo ki social media ke karan badhti ja rahi hain.


Aaj hum eske gulam bante ja rahe hain yahi kadva sach hai...subah uthte phone, bathroom mein phone, khate time phone, gadi chalate time phone, sone se pahle phone, padhte time phone chalate rahte hain jisse hum apne aap se aur apno se door jate ja rahe hain.


Din mein 10-20 baar facebook par jake time waste, 50-100 whatsApp par jake time waste karte hain jiska hume koi result nahi milta hai.


agar ab bhi hum nahi sambhle aur eska kewal limited use nahi kiye to bahut nuksan hone wala hai.

Apne kabhi face kiya ho to comment karke sabko zarur bataiye.













No comments:

Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life

https://amzn.to/3zRbxXu

Type..