19/04/2018

Difference between Adultery and Rape-


Difference between Adultery and Rape-

1  .      Adultery ke case mein mahila ki consent jaruri hota hai aur rape ke case mein na to mahila ki consent hoti hai aur na hi will.

2   .      Adultery kam gambheer apradh hota hai jabki Rape bahut jyada gambheer apradh hota hai.


3  .      Adultery ke case mein agar mahila ne consent de bhi diya ho to uske consent ko defense ke roop mein nahi use kiya ja sakta hai jabki rape ke cases mein agar consent samil paya jata hai to usko as a defense use kiya ja sakta hai.

4   .      Adultery shadi ke khilaph apradh mana jata hai jabki rape mahila ke body ke khilaph apradh mana jaa hai.


5   .      Adultery ka offence husband ke against hota hai jabki rape ka offence mahila ke against hota hai.

6   .      Adultery ka offence husband dwara usi ke wife ke sath nahi ho sakta jabki rape ka offence usi ke wife ke sath ho sakta hai yadi wife 18 saal ke niche ho.


7   .      Adultery kewal us mahila ke sath hoti hai jo kisi dusre aadmi ki patni ho jabki rape ka offence vivahit ya avivahit dono  ke sath ho sakta hai.

                                     











Facebook-  
Ayush Jaiswal

No comments:

Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life

https://amzn.to/3zRbxXu

Type..