•Uski edi parvat choti lagti hai,
Maa ke paavn se jannat chhoti lagti hai.
•Masoom mohabbat ka bus itna phasana
hai..kagaj ki haveli hai, baris ka jamana hai...kya shart-e-mohabbat hai, kya
shart-e-jamana hai, awaaj bhi jakhmi hai aur geet bhi gana hai.
•Phoolo ke rang ko titli ke hawale
kar doon, Galib aur Meer ko tulsi ke hawale kar doon..aaj mila doon hindi ke
bahno ko matlab urdu ko hindi ke hawale kar doon.
•Hai jalti aag seene mein, nahi darta sikandar
se..magar hoon baap beti ka, dara rahta hoon andar se.
•Ye vakt bahut hi najuk
hai...dushman ka dard yahi hai ki ve humle dar humle karte hain aur hum har hamle par sambhle hain.
•Hum jaag uthe to andar bahar ke
dushman tharrayenge, phir sabhi tirange ki ijjat mein bharat mata gayenge.
•Roshini ka kuch na kuch imkaam hona chahiye,
band kamre mein bhi roshandan hona chahiye, Hindu-Muslim chahein jo likha ho
mathe par, magar hamare seene mein Hindustan hona chahiye.. Ve jo anpadh hain
chalo haivan hain theek hai, hum padhe likho ko to insan hona chahiye.
No comments:
Post a Comment