14/03/2017

Muslim Votes In Uttar Pradesh Election


Kuch log bolte hain ki Muslim Bhajpa ko vote de hi nahi sakti...to main aise logo se poochhna chahunga ki kyon bhai kyon Muslim Bhajpa ko vote nahi de sakti Kya Bhajpa se unko koi problem hai? to jawab aata hai nahi phir bhi nahi de sakti tab main poochhta hoon karan to batao tab ve bolte hain Karan-Varan kuch nahi bus nahi de sakti to nahi de sakti. Bhai Muslims are also citizen of India and they also play major role in government formation. They are not prejudiced okay. Ve bhi Development ko tarjeeh dete hain, jiska latest example Uttar Pradesh election raha. Main sabko equal dekhta hoon aur Jo log Hindu-Muslim ki baat karte hain na ve sambhal jayein kyonki ab koi bhi Hindu- Muslim ko vote bank politics ke liye unhe divide nahi kar sakta. Facebook par mujhe Muslim bhaiyon ke post mila jisme ve khud politicians ko batana chahte hain ki hume batne ki politics band karo kyonki ab hum batne walo mein se nahi hain.
Ek baar mujhe ek pic dikhi jisme do ungliya thi ek Hindu ki aur ek Muslim ki aur un ungliyon ke upar thoda-thoda blood laga hua tha, dono ka color red hi tha...ab aap soch rahe honge ki color to red hi hoga tab main yahi baat kahna chahunga ki jab color dono ka same hai to hum logo ko alag-alag najriye se kyon dekhte hain ? Hume apni soch badalni hogi aur sabko ek saman samjhna hoga khaskarke politicians ko...ant mein yahi kahna chahunga ki jaise boond-boond karke ghada bharta hai vaise same hi Muslim bhaiyon ke vote ne Bhajpa ko 325 tak pahuchaya hai.

No comments:

Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life

https://amzn.to/3zRbxXu

Type..