Desh ki aan, maan aur shaan hain sainik,
Har dhadkano ki jaan hain sainik..
Ye jeete hain hamare liye aur marte bhi hain hamare liye Kyonki desh ki khatir har cheej kurban karte hain sainik...
Ye mitti mein so jate hain kyonki desh par nahi aana dena chahte koi bhi aanch ye sainik..
Ye khud na jhukte hain aur na hi tirange ko jhukne dete hain..swabhimaan mein jeete aur marte hain hamare sainik..

No comments:
Post a Comment