28/01/2017
Killer Selfie of Modern Time
Aaj se jyada nahi kuch saal pahle tak na phone ka chalan tha na camere ka lekin jaise samay ke sath cheeje badal jati hain theek usi prakar aajkal jiske hath mein dekhiye mahange phone dikh hi jate hain. Ab camere ki kam hi jarurat padti hai kyonki ye jo mahange phone jinhe smartphone kaha jata hai camere ki jillat ko aasan kar diya, yahan tak ki ab bahut kam log hi ghadi hatho mein pahante hain. Yah baat sahi hai ki jab kisi ji ki adhikta ho jati hai to vahi cheeje nuksan pahuchane lagti hain jaise aajkal hum adhiktar logo ko dekhte hue pa jayenge ki ve khud ki photo baar-baar khinchne ke shaukeen hote hain jise selfie kaha jata hai. Yah ek survey se saaph ho chuka hai ki ladkiyan saj-savar kar jyada selfie leti hain aur ladke nayi jagaho par selfie lena jyada pasand karte hain. Ve apni photo social sites par dalne ke liye khatarnaam tarike se selfie lete hain jaise kisi unchai par jakar ya kanpati par gun rakhkar ya phir train ke upar chadhkar. Haal hi mein aisi tamaam ghatnayein saamne aayi hain jisme selfie ke chakkar mein log maut ke muh mein sama gaye, eska taja udaharan hai ek ladka train par selfie lene ke chakkar mein chad gaya aur hitension taar ke chapet mein aa gaya jisse uski mrityu ho gayi, vah apne maa-baap ka eklauta ladka tha. Dusra udaharan ye hai ki ek baar 3-4 dost selfie lene ke chakkar mein pank mein doob gaye aur sabhi ki mrityu ho gayi. Teesra udaharan hai ke ek baar ek bacche ne socha ki kyon na kanpati par gun rakhke selfie li jaye lekin use kya pata tha ki ye uski aakhri selfie hogi, jab usne camere ka button click karna chaha to camere ka button na click hokar trigger dab gaya aur vah turant apne hatho mara gaya. Esliye sabhi logo ko es bimari ko khud harana hoga varna unke chahne walo ko unke marne ke baad kewal aur kewal takleeph hogi.
Dhanyavaad!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Mivi Collar Flash Bluetooth Earphones. Fast Charging Wireless Earphones with mic, 24hrs Battery Life
https://amzn.to/3zRbxXu
No comments:
Post a Comment